Hum khezaan keh phool hai begana fazle bahaar. Dard ki khushbu chupa kar umr bhar rehna pada. -=(S.D)=- Saqi jo tera naam bhi lele zubaan se hum. Paida karein bahaar bhi daur-e-khizaan se hum. -=(S.D)=- Jab tak bahaar thii to chaman baghbaan ka thaa. Nazir kheza hua to mera gulistaan hua. -=(S.D)=- Jab waqt pada to gulshan ko lahu maine diya. Jab bahaar aai to kehte hai tera kaam nahi. -=(S.D)=- Choti mein apni usne jo gunda hai haar ko. Bandha pench zulf mein jaise bahaar ho. -=(S.D)=- Chaman k phool bhi har kisi ko nahi milte. Bahaar aati hai lekin kisi kisi k liye. -=(S.D)=- Ho sake to khizaan se musalehat karlo. Chaman k logo,bahaaron ka etbaar nahi. -=(S.D)=- Mujhe bas isliye achchi bahaar lagti hai. Keh yeh bhi maa ki tarah khush gawar lagti hai. -=(S.D)=- Chaman mein rahne walon se hum sehra kashin achche. Bahaar aakar chali jati hai virani nahi jati. -=(S.D)=- Aai bahaar aai aur phool khil rahe hai. Kalyaan chtak rahi hai aur phool khil rahe hai. -=(S.D)=-
Latest Shayari sms jokessms desi
Counter
2094Online
1